jab  tak  dahān-e-zaḳhm  na  paidā  kare  koī
mushkil  ki  tujh  se  rāh-e-suḳhan  vā  kare  koī
aalam  ġhubār-e-vahshat-e-majnūñ  hai  sar-ba-sar
kab  tak  ḳhayāl-e-turra-e-lailā  kare  koī
afsurdagī  nahīñ  tarab-inshā-e-iltifāt
haañ  dard  ban  ke  dil  meñ  magar  jā  kare  koī
rone  se  ai  nadīm  malāmat  na  kar  mujhe
āḳhir  kabhī  to  uqda-e-dil  vā  kare  koī
chāk-e-jigar  se  jab  rah-e-pursish  na  vā  huī
kyā  fā.eda  ki  jaib  ko  rusvā  kare  koī
laḳht-e-jigar  se  hai  rag-e-har-ḳhār  shāḳh-e-gul
tā  chand  bāġh-bāni-e-sahrā  kare  koī
nākāmi-e-nigāh  hai  barq-e-nazārā-soz
tū  vo  nahīñ  ki  tujh  ko  tamāshā  kare  koī
har  sañg  o  ḳhisht  hai  sadaf-e-gauhar-e-shikast
nuqsāñ  nahīñ  junūñ  se  jo  saudā  kare  koī
sar  bar  huī  na  vāda-e-sabr-āzmā  se  umr
fursat  kahāñ  ki  terī  tamannā  kare  koī
hai  vahshat-e-tabī.at-e-ījād  yās-ḳhez
ye  dard  vo  nahīñ  ki  na  paidā  kare  koī
bekāri-e-junūñ  ko  hai  sar  pīTne  kā  shuġhl
jab  haath  TuuT  jaa.eñ  to  phir  kyā  kare  koī
husn-e-faroġh-e-shamma-e-suḳhan  duur  hai  'asad'
pahle  Dil-e-gudāḳhta  paidā  kare  koī
vahshat  kahāñ  ki  be-ḳhudī  inshā  kare  koī
hastī  ko  lafz-e-m.ani-e-anqā  kare  koī
jo  kuchh  hai  mahv-e-shoḳhi-e-abrū-e-yār  hai
āñkhoñ  ko  rakh  ke  taaq  pe  dekhā  kare  koī
arz-e-sarishk  par  hai  fazā-e-zamāna  tañg
sahrā  kahāñ  ki  dāvat-e-dariyā  kare  koī
vo  shoḳh  apne  husn  pe  maġhrūr  hai  'asad'
dikhlā  ke  us  ko  aa.ina  toḌā  kare  koī