jaur  se  baaz  aa.e  par  baaz  aa.eñ  kyā
kahte  haiñ  ham  tujh  ko  muñh  dikhlā.eñ  kyā
raat  din  gardish  meñ  haiñ  saat  āsmāñ
ho  rahegā  kuchh  na  kuchh  ghabrā.eñ  kyā
laag  ho  to  us  ko  ham  samjheñ  lagāo
jab  na  ho  kuchh  bhī  to  dhokā  khā.eñ  kyā
ho  liye  kyuuñ  nāma-bar  ke  saath  saath
yā  rab  apne  ḳhat  ko  ham  pahuñchā.eñ  kyā
mauj-e-ḳhūñ  sar  se  guzar  hī  kyuuñ  na  jaa.e
āstān-e-yār  se  uTh  jaa.eñ  kyā
umr  bhar  dekhā  kiyā  marne  kī  raah
mar  ga.e  par  dekhiye  dikhlā.eñ  kyā
pūchhte  haiñ  vo  ki  'ġhālib'  kaun  hai
koī  batlāo  ki  ham  batlā.eñ  kyā