Mirza Ghalib

dil laga kar lag gaya un ko bhi tanha baiThna

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869
dil lagā kar lag gayā un ko bhī tanhā baiThnā
baare apnī bekasī kī ham ne paa.ī daad yaañ
haiñ zavāl-āmāda ajzā āfrīnash ke tamām
mahr-e-gardūñ hai charāġh-e-rahguzār-e-bād yaañ
hai tarahhum-āfrīñ ārā.ish-e-be-dād yaañ
ashk-e-chashm-e-dām hai har dāna-e-sayyād yaañ
hai gudāz-e-mom andāz-e-chakīdan-hā-e-ḳhūñ
nīsh-e-zambūr-e-asal hai nashtar-e-fassād yaañ
nā-gavārā hai hameñ ehsān-e-sāhab-daulatāñ
hai zar-e-gul bhī nazar meñ jauhar-e-faulād yaañ
jumbish-e-dil se hue haiñ uqda-hā-e-kār vā
kam-tarīñ mazdūr-e-sañgīñ-dast hai farhād yaañ
qatra-hā-e-ḳhūn-e-bismil zeb-e-dāmāñ haiñ 'asad'
hai tamāsha kardanī gul-chīnī-e-jallād yaañ
Top Urdushayar.com