dil  lagā  kar  lag  gayā  un  ko  bhī  tanhā  baiThnā
baare  apnī  bekasī  kī  ham  ne  paa.ī  daad  yaañ
haiñ  zavāl-āmāda  ajzā  āfrīnash  ke  tamām
mahr-e-gardūñ  hai  charāġh-e-rahguzār-e-bād  yaañ
hai  tarahhum-āfrīñ  ārā.ish-e-be-dād  yaañ
ashk-e-chashm-e-dām  hai  har  dāna-e-sayyād  yaañ
hai  gudāz-e-mom  andāz-e-chakīdan-hā-e-ḳhūñ
nīsh-e-zambūr-e-asal  hai  nashtar-e-fassād  yaañ
nā-gavārā  hai  hameñ  ehsān-e-sāhab-daulatāñ
hai  zar-e-gul  bhī  nazar  meñ  jauhar-e-faulād  yaañ
jumbish-e-dil  se  hue  haiñ  uqda-hā-e-kār  vā
kam-tarīñ  mazdūr-e-sañgīñ-dast  hai  farhād  yaañ
qatra-hā-e-ḳhūn-e-bismil  zeb-e-dāmāñ  haiñ  'asad'
hai  tamāsha  kardanī  gul-chīnī-e-jallād  yaañ