na  huī  gar  mire  marne  se  tasallī  na  sahī
imtihāñ  aur  bhī  baaqī  ho  to  ye  bhī  na  sahī
ḳhaar  ḳhār-e-alam-e-hasrat-e-dīdār  to  hai
shauq  gul-chīn-e-gulistān-e-tasallī  na  sahī
mai-parastāñ  ḳhum-e-mai  muñh  se  lagā.e  hī  bane
ek  din  gar  na  huā  bazm  meñ  saaqī  na  sahī
nafas-e-qais  ki  hai  chashm-o-charāġh-e-sahrā
gar  nahīñ  sham-e-siyah-ḳhāna-e-lailī  na  sahī
ek  hañgāme  pe  mauqūf  hai  ghar  kī  raunaq
nauha-e-ġham  hī  sahī  naġhma-e-shādī  na  sahī
na  satā.ish  kī  tamannā  na  sile  kī  parvā
gar  nahīñ  haiñ  mire  ash.ār  meñ  ma.anī  na  sahī
ishrat-e-sohbat-e-ḳhūbāñ  hī  ġhanīmat  samjho
na  huī  'ġhālib'  agar  umr-e-tābī.ī  na  sahī