bahut  sahī  ġham-e-gītī  sharāb  kam  kyā  hai
ġhulām-e-sāqī-e-kausar  huuñ  mujh  ko  ġham  kyā  hai
tumhārī  tarz-o-ravish  jānte  haiñ  ham  kyā  hai
raqīb  par  hai  agar  lutf  to  sitam  kyā  hai
suḳhan  meñ  ḳhāma-e-ġhālib  kī  ātish-afshānī
yaqīñ  hai  ham  ko  bhī  lekin  ab  us  meñ  dam  kyā  hai
kaTe  to  shab  kaheñ  kaaTe  to  saañp  kahlāve
koī  batāo  ki  vo  zulf-e-ḳham-ba-ḳham  kyā  hai
likhā  kare  koī  ahkām-e-tāla-e-maulūd
kise  ḳhabar  hai  ki  vaañ  jumbish-e-qalam  kyā  hai
na  hashr-o-nashr  kā  qaa.el  na  kesh  o  millat  kā
ḳhudā  ke  vāste  aise  kī  phir  qasam  kyā  hai
vo  dād-o-dīd  garāñ-māya  shart  hai  hamdam
vagarna  mehr-e-sulaimān-o-jām-e-jam  kyā  hai