barshikāl-e-girya-e-āshiq  hai  dekhā  chāhiye
khil  ga.ī  mānind-e-gul  sau  jā  se  dīvār-e-chaman
ulfat-e-gul  se  ġhalat  hai  dāva-e-vārastagī
sarv  hai  bā-vasf-e-āzādī  giraftār-e-chaman
saaf  hai  az  bas-ki  aks-e-gul  se  gulzār-e-chaman
jānashīn-e-jauhar-e-ā.īna  hai  ḳhār-e-chaman
hai  nazākat  bas  ki  fasl-e-gul  meñ  me.amār-e-chaman
qālib-e-gul  meñ  Dhalī  hai  ḳhisht-e-dīvār-e-chaman
terī  ārā.ish  kā  istiqbāl  kartī  hai  bahār
jauhar-e-ā.īna  hai  yaañ  naqsh-e-ehzār-e-chaman
bas  ki  paa.ī  yaar  kī  rañgīñ-adā.ī  se  shikast
hai  kulāh-e-nāz-e-gul  bar  tāq-e-dīvār-e-chaman
vaqt  hai  gar  bulbul-e-miskīñ  zuleḳhā.i  kare
yūsuf-e-gul  jalva-farmā  hai  ba-bāzār-e-chaman
vahshat-afzā  girya-hā  mauqūf-e-fasl-e-gul  'asad'
chashm-e-dariyā-rez  hai  mīzāb-e-sarkār-e-chaman