ġhuncha-e-nā-shagufta  ko  duur  se  mat  dikhā  ki  yuuñ
bose  ko  pūchhtā  huuñ  maiñ  muñh  se  mujhe  batā  ki  yuuñ
pursish-e-tarz-e-dilbarī  kījiye  kyā  ki  bin  kahe
us  ke  har  ek  ishāre  se  nikle  hai  ye  adā  ki  yuuñ
raat  ke  vaqt  mai  piye  saath  raqīb  ko  liye
aa.e  vo  yaañ  ḳhudā  kare  par  na  kare  ḳhudā  ki  yuuñ
ġhair  se  raat  kyā  banī  ye  jo  kahā  to  dekhiye
sāmne  aan  baiThnā  aur  ye  dekhnā  ki  yuuñ
bazm  meñ  us  ke  rū-ba-rū  kyuuñ  na  ḳhamosh  baiThiye
us  kī  to  ḳhāmushī  meñ  bhī  hai  yahī  mudda.ā  ki  yuuñ
maiñ  ne  kahā  ki  bazm-e-nāz  chāhiye  ġhair  se  tahī
sun  ke  sitam-zarīf  ne  mujh  ko  uThā  diyā  ki  yuuñ
mujh  se  kahā  jo  yaar  ne  jaate  haiñ  hosh  kis  tarah
dekh  ke  merī  be-ḳhudī  chalne  lagī  havā  ki  yuuñ
kab  mujhe  kū-e-yār  meñ  rahne  kī  vaz.a  yaad  thī
ā.ina-dār  ban  ga.ī  hairat-e-naqsh-e-pā  ki  yuuñ
gar  tire  dil  meñ  ho  ḳhayāl  vasl  meñ  shauq  kā  zavāl
mauj  muhīt-e-āb  meñ  maare  hai  dast-o-pā  ki  yuuñ
jo  ye  kahe  ki  reḳhta  kyūñke  ho  rashk-e-fārsī
gufta-e-'ġhālib'  ek  baar  paḌh  ke  use  sunā  ki  yuuñ