muzhda  ai  zauq-e-asīrī  ki  nazar  aatā  hai
dām-e-ḳhālī  qafas-e-murġh-e-giraftār  ke  paas
jigar-e-tishna-e-āzār  tasallī  na  huā
jū-e-ḳhūñ  ham  ne  bahā.ī  bun-e-har  ḳhaar  ke  paas
muñd  ga.iiñ  kholte  hī  kholte  āñkheñ  hai  hai
ḳhuub  vaqt  aa.e  tum  is  āshiq-e-bīmār  ke  paas
maiñ  bhī  ruk  ruk  ke  na  martā  jo  zabāñ  ke  badle
dashna  ik  tez  sā  hotā  mire  ġham-ḳhvār  ke  paas
dahan-e-sher  meñ  jā  baiThe  lekin  ai  dil
na  khaḌe  ho  jiye  ḳhūbān-e-dil-āzār  ke  paas
dekh  kar  tujh  ko  chaman  bas-ki  numū  kartā  hai
ḳhud-ba-ḳhud  pahuñche  hai  gul  gosha-e-dastār  ke  paas
mar  gayā  phoḌ  ke  sar  'ġhālib'-e-vahshī  hai  hai
baiThnā  us  kā  vo  aa  kar  tirī  dīvār  ke  paas