gar  tujh  ko  hai  yaqīn-e-ijābat  duā  na  maañg
ya.anī  baġhair-e-yak-dil-e-be-mudda.ā  na  maañg
aatā  hai  dāġh-e-hasrat-e-dil  kā  shumār  yaad
mujh  se  mire  gunah  kā  hisāb  ai  ḳhudā  na  maañg
ai  aarzū  shahīd-e-vafā  ḳhūñ-bahā  na  maañg
juz  bahr-e-dast-o-bāzu-e-qātil  duā  na  maañg
barham  hai  bazm-e-ġhuncha  ba-yak-junbish-e-nashāt
kāshāna  bas-ki  tañg  hai  ġhāfil  havā  na  maañg
maiñ  duur  gard-e-arz-e-rusūm-e-niyāz  huuñ
dushman  samajh  vale  nigah-e-āshnā  na  maañg
yak-baḳht  auj  nazr-e-subuk-bārī-e-'asad'
sar  par  vabāl-e-sāya-e-bāl-e-humā  na  maañg
gustāḳhī-e-visāl  hai  mashshāta-e-niyāz
ya.anī  duā  ba-juz  ḳham-e-zulf-e-dotā  na  maañg
iisā  tilism  husn  taġhāful  hai  zīnhār
juz  pusht  chashm  nusḳha  arz  davā  na  maañg
dīgar  o  dil  ḳhūnīñ  nafas