phir  tire  hijr  ke  jazbāt  ne  añgḌā.ī  lī
thak  ke  din  Duub  gayā  raat  ne  añgḌā.ī  lī
jaise  ik  phuul  meñ  ḳhushbū  kā  diyā  jaltā  hai
us  ke  hoñToñ  pe  shikāyāt  ne  añgḌā.ī  lī
surḳh  hī  surḳh  hai  is  shahr  kā  manzar-nāma
amn  hote  hī  fasādāt  ne  añgḌā.ī  lī
ham  bhī  is  jañg  meñ  filhāl  kiye  lete  haiñ  sulh
dekhā  jā.egā  jo  hālāt  ne  añgḌā.ī  lī
garmī-e-āh  se  nam  ho  ga.iiñ  āñkheñ  ai  dost
baḌh  gayā  habs  to  barsāt  ne  añgḌā.ī  lī
fāsla  ranj-o-masarrat  meñ  bas  ik  saañs  kā  hai
muskurā.e  the  ki  sadmāt  ne  añgḌā.ī  lī
jhiil  jaisī  vo  chamaktī  huī  āñkheñ  'tasnīm'
un  meñ  Duube  the  ki  naġhmāt  ne  añgḌā.ī  lī