nazar  nazar  se  milā  kar  sharāb  piite  haiñ
ham  un  ko  paas  baiThā  kar  sharāb  piite  haiñ
isī  liye  to  añdherā  hai  mai-kade  meñ  bahut
yahāñ  gharoñ  ko  jalā  kar  sharāb  piite  haiñ
hameñ  tumhāre  sivā  kuchh  nazar  nahīñ  aatā
tumheñ  nazar  meñ  sajā  kar  sharāb  piite  haiñ
unhīñ  ke  hisse  meñ  aatī  hai  pyaas  bhī  aksar
jo  dūsroñ  ko  pilā  kar  sharāb  piite  haiñ