har  ek  chehre  pe  kanda  hikāyateñ  dekho
ḳhulūs  dekh  chuke  ho  to  nafrateñ  dekho
jo  ahl-e-dil  ho  to  ehsās-e-āgahī  ke  liye
bujhī  nigāhoñ  meñ  tahrīr  āyateñ  dekho
ragoñ  meñ  kholte  ḳhuuñ  kī  qasam  na  khaao  kabhī
gudāz  jismoñ  meñ  pinhāñ  salāhiyateñ  dekho
jo  ho  sake  to  kabhī  taptī  shāh-rāhoñ  par
Tapakte  ḳhuun  se  likkhī  ibārateñ  dekho
nafas  nafas  meñ  hai  ehsās--yūrish-e-hastī
ḳhud  apnī  zaat  se  apnī  baġhāvateñ  dekho
laboñ  pe  mohr-e-ḳhamoshī  ke  bāvajūd  'razā'
guzar  rahī  haiñ  jo  andar  qayāmateñ  dekho