maiñ  talāsh  meñ  kisī  aur  kī  mujhe  DhūñDhtā  koī  aur  hai
maiñ  savāl  huuñ  kisī  aur  kā  merā  mas.ala  koī  aur  hai
kabhī  chāñd-chehroñ  kī  bhiiḌ  se  jo  nikal  ke  aayā  to  ye  khulā
vo  jo  asl  thā  use  kho  diyā  jise  pā  liyā  koī  aur  hai
kaTī  umr  ek  usī  chaah  meñ  use  dekhte  kisī  raah  meñ
magar  ik  zamāne  ke  ba.ad  jo  huā  āshnā  koī  aur  hai
faqat  ek  pal  ke  firāq  meñ  ka.ī  ḳhvāb  kirchiyāñ  ho  ga.e
jo  palaT  ke  aa.e  to  yuuñ  lagā  yahāñ  silsila  koī  aur  hai
vahī  log  haiñ  vahī  naam  haiñ  vahī  ghar  vahī  dar-o-bām  haiñ
magar  ab  darīchoñ  kī  oT  se  hameñ  jhāñktā  koī  aur  hai
kisī  aane  vaale  safar  kī  jab  karo  ibtidā  to  ye  sochnā
maiñ  akelā  is  meñ  sharīk  huuñ  ki  mire  sivā  koī  aur  hai
use  mil  ke  aa.e  to  shaam  ko  mujhe  aa.ine  ne  kahā  suno
vo  jo  sub.h-dam  thā  hasan-'razā'  vo  tumhī  ho  yā  koī  aur  hai