tujh  se  bichhaḌ  ke  samt-e-safar  bhūlne  lage
phir  yuuñ  huā  ham  apnā  hī  ghar  bhūlne  lage
qurbat  ke  mausamoñ  kī  adā  yaad  rah  ga.ī
guzrī  rafāqatoñ  kā  asar  bhūlne  lage
azbar  haiñ  yuuñ  to  kūcha-e-jānāñ  ke  sab  nishāñ
lekin  ham  us  kī  rāhguzar  bhūlne  lage
pahuñche  the  ham  bhī  shahr-e-tilismāt  meñ  magar
vo  ism  jis  se  khulnā  thā  dar  bhūlne  lage
ham  gosha-gīr  bhī  the  kisī  mahr  kī  misāl
ojhal  hue  udhar  to  udhar  bhūlne  lage
jān-e-'hasan'  ab  is  se  ziyāda  maiñ  kyā  kahūñ
mar  jā.ūñ  terī  yaad  agar  bhūlne  lage