siine  kī  ḳhānqāh  meñ  aane  nahīñ  diyā
ham  ne  use  charāg  jalāne  nahīñ  diyā
duzdān-e-nīm-shab  ne  bhī  hiile  bahut  kiye
lekin  kisī  ko  ḳhvāb  churāne  nahīñ  diyā
ab  ke  shikast-o-reḳht  kā  kuchh  aur  hai  sabab
ab  ke  ye  zaḳhm  terī  jafā  ne  nahīñ  diyā
is  baar  to  savāl  bhī  mushkil  na  thā  magar
is  baar  bhī  javāb  qazā  ne  nahīñ  diyā
kyā  shaḳhs  thā  uḌātā  rahā  umr  bhar  mujhe
lekin  havā  se  haath  milāne  nahīñ  diyā
mumkin  hai  vaj.h-e-tark-e-ta.alluq  usī  meñ  ho
vo  ḳhat  jo  mujh  ko  bād-e-sabā  ne  nahīñ  diyā
is  hairatī  nazar  kī  simaTtī  giraft  ne
uThtā  huā  qadam  bhī  uThāne  nahīñ  diyā
shām-e-vidā.a  thī  magar  us  rañg-bāz  ne
paañv  pe  hoñT  rakh  diye  jaane  nahīñ  diyā
kuchh  to  'hasan'  vo  dād-o-sitad  ke  khare  na  the
kuchh  ham  ne  bhī  ye  qarz  chukāne  nahīñ  diyā