kisī  ke  hijr  meñ  yuuñ  TuuT  kar  royā  nahīñ  karte
ye  apnā  rañj  hai  aur  rañj  kā  charchā  nahīñ  karte
judā.ī  kī  rutoñ  meñ  sūrateñ  dhuñdlāne  lagtī  haiñ
so  aise  mausamoñ  meñ  aa.ina  dekhā  nahīñ  karte
ziyāda  se  ziyāda  dil  bichhā  dete  haiñ  raste  meñ
magar  jis  ne  bichhaḌnā  ho  use  rokā  nahīñ  karte
hamesha  ik  masāfat  ghūmtī  rahtī  hai  paañv  meñ
safar  ke  ba.ad  bhī  kuchh  log  ghar  pahuñchā  nahīñ  karte
tanī  rassī  pe  dariyā  paar  utarnā  hī  muqaddar  ho
to  phir  sīnoñ  meñ  ġharqābī  kā  Dar  rakkhā  nahīñ  karte
hameñ  rusvā  kiyā  is  niiñd  meñ  chalne  kī  aadat  ne
vagarna  jāgte  meñ  ham  kabhī  aisā  nahīñ  karte
'hasan'  jab  laḌkhaḌā  kar  apne  hī  paañv  pe  girnā  ho
to  phir  eḌī  pe  itnī  der  tak  ghūmā  nahīñ  karte