shab  kī  shab  mahfil  meñ  koī  ḳhush-kalām  aayā  to  kyā
tyaag  dī  jo  bazm  us  meñ  merā  naam  aayā  to  kyā
zīnat-e-qirtās  jitne  harf  the  dushman  hue
ek  terā  ism  zer-e-insirām  aayā  to  kyā
narġha-e-ādā  meñ  ghirte  hī  badan  ġhirbān  thā
ab  safa-e-yārāñ  se  koī  be-niyām  aayā  to  kyā
kushtagān-e-shab  ko  pursā  dene  vaale  ye  bhī  sun
ab  tire  lahje  meñ  rañg-e-ehtarām  aayā  to  kyā
muntazir  āñkheñ  firāq-e-yār  meñ  pathrā  ga.iiñ
sub.h  kā  bhūlā  palaT  kar  ghar  jo  shaam  aayā  to  kyā
dasht-e-ḳhvāhish  meñ  ba-kār-e-said  jab  muddat  ke  ba.ad
ik  ġhazāl-e-pā-burīda  zer-e-dām  aayā  to  kyā