ek  be-nām  sā  Dar  siine  meñ  aa  baiThā  hai
jaise  ik  bheḌiyā  har  dar  se  lagā  baiThā  hai
ek  dhaḌkā  sā  lagā  rahtā  hai  luT  jaane  kā
goyā  pahre  pe  koī  ḳhvāja-sarā  baiThā  hai
hurmateñ  san.at-e-āhan  kī  tarah  biktī  haiñ
jis  ko  dekho  vo  ḳharīdār  banā  baiThā  hai
aur  kyā  rab  se  vo  māñgeñge  fazīlat  jin  ke
zehn  kore  haiñ  magar  sar  pe  humā  baiThā  hai
ab  'hasan'  miltā  hai  bāzār-e-ziyāñ  meñ  aksar
aisā  lagtā  hai  koī  ḳhvāb  gañvā  baiThā  hai