riyā-kāriyoñ  se  musallah  ye  lashkar  mujhe  maar  deñge
maiñ  bach  bhī  gayā  to  na.e  hamla-āvar  mujhe  maar  deñge
ba-zāhir  ye  ahl-e-mohabbat  haiñ  lekin  munāfiq  bahut  haiñ
ye  ik  roz  dām-e-mohabbat  meñ  lā  kar  mujhe  maar  deñge
maiñ  apnī  hī  āvāz  apne  hī  saa.e  se  Darne  lagā  huuñ
aur  ab  ḳhauf  ye  hai  ki  mere  yahī  Dar  mujhe  maar  deñge
isī  meñ  amaañ  hai  ki  maiñ  un  ke  chehre  palaT  kar  na  dekhūñ
palaTne  kī  sūrat  meñ  ye  kīna-parvar  mujhe  maar  deñge
maiñ  hone  ko  apne  hī  bātin  meñ  rū-posh  ho  jā.ūñ  lekin
mire  apne  ahbāb  shak  kī  binā  par  mujhe  maar  deñge
ye  kāmil  yaqīñ  hai  ki  jis  din  bhī  apne  muqābil  meñ  aayā
mirī  zaat  meñ  morcha-band  ḳhud-sar  mujhe  maar  deñge
'hasan'  ab  khule  āsmānoñ  meñ  parvāz  karnā  paḌegī
vagarna  ye  ḳhisht-e-havas  se  bane  ghar  mujhe  maar  deñge