ghar  lauTte  haiñ  jab  bhī  koī  yaar  gañvā  kar
ro  lete  haiñ  ham-zād  ko  siine  se  lagā  kar
kis  ko  thī  ḳhabar  is  meñ  taḌaḳh  jā.egā  dil  bhī
ham  ḳhush  the  bahut  sehn  meñ  dīvār  uThā  kar
kuchh  aur  bhī  baḌh  jaatī  haiñ  hairāniyāñ  dil  kī
sau  baar  kahā  hai  ki  na  ā.īna  takā  kar
sāvan  meñ  to  ḳhud-sozī  bhī  ho  jaatī  hai  nākām
relā  sā  guzar  jaatā  hai  sab  azm  bujhā  kar
maiñ  tark-e-ta.alluq  pe  bhī  āmāda  huuñ  lekin
tū  bhī  to  mirā  qarz-e-ġham-e-hijr  adā  kar
ye  tai  hai  ki  ab  ham  ne  nahīñ  milnā  dobāra
ye  baat  magar  aur  kisī  se  na  kahā  kar
is  kār-e-mohabbat  meñ  to  hotā  hai  ḳhasāra
ai  sāhab-e-zar  tū  ye  tijārat  na  kyā  kar
ik  shahad  sā  ghultā  chalā  jaatā  hai  dahan  meñ
letā  huuñ  maiñ  jab  saañs  tirī  saañs  milā  kar