na  ārzuoñ  kā  chāñd  chamkā  na  qurbatoñ  ke  gulāb  mahke
na  hijratoñ  kā  azaab  sahte  hue  musāfir  gharoñ  ko  lauTe
na  āñganoñ  meñ  daraḳht-e-jāñ  par  visāl-mausam  kā  bor  jaagā
na  Daalī  Daalī  kisī  parinde  ne  ḳhushbuoñ  ke  tarāne  chheḌe
varaq  varaq  zā.ichoñ  meñ  tahrīr  ek  se  the  javāb  lekin
savāl  chakhne  kī  ḳhaam  ḳhvāhish  meñ  ham  ne  kyā  kyā  azaab  chakkhe
bas  ek  Dhalvān  darmiyāñ  hai  aur  us  se  aage  khulā  jahannam
na  jaane  kis  pal  kī  ek  laġhzish  azaab  sadiyāñ  sameT  laa.e
hameñ  ḳhabar  hai  ki  apne  ghar  ke  charāġh  koī  ghaḌī  haiñ  lekin
hameñ  yaqīñ  hai  ki  raushnī  kī  naved  sunñe  talak  jaleñge
qabīle  vaalo  uTho!  aur  apnā  bachāv  kar  lo,  ki  maiñ  ne  kal  shab
fasīl-e-shahr-e-amāñ  ke  bāhar  naqab-zanoñ  ke  giroh  dekhe