makīñ  yahīñ  kā  hai  lekin  makāñ  se  bāhar  hai
abhī  vo  shaḳhs  mirī  dāstāñ  se  bāhar  hai
utar  bhī  saktā  hai  sartān  kī  tarah  mujh  meñ
vo  ishq  jo  mire  vahm-o-gumāñ  se  bāhar  hai
savāl  ye  nahīñ  mujh  se  hai  kyuuñ  gurezāñ  vo
savāl  ye  hai  ki  kyuuñ  jism  o  jaañ  se  bāhar  hai
na  jaane  kaise  tarāzū  huā  mire  dil  meñ
vo  ek  tiir  jo  terī  kamāñ  se  bāhar  hai
mire  vajūd  kā  ā.īna  pūchhtā  hai  mujhe
ye  aks  kab  se  tire  ḳhāk-dāñ  se  bāhar  hai
ḳhudā-gavāh  vo  is  darja  ḳhūb-sūrat  thī
ki  merā  shauq-e-tamāshā  bayāñ  se  bāhar  hai
hamārī  jeb  meñ  ḳhvāboñ  kī  rezgārī  hai
so  len-den  hamārā  dukāñ  se  bāhar  hai
mirā  amiin  koī  thā  to  vo  mirā  ham-zād
aur  ab  vahī  mire  pasmāñdgāñ  se  bāhar  hai
'hasan'  meñ  hiddat-e-hijrāñ  se  jal  bhī  saktā  huuñ
ki  merā  jism  tire  sā.ebāñ  se  bāhar  hai