Shauq Salki

zawiye fikr ke ab aur banao yaro

Shauq Salki

zāviye fikr ke ab aur banāo yaaro

baat kāġhaz pe na.e Dhañg se laao yaaro

kar diye sard masarrat ghaTā ne jazbāt

ruuh ko ġham zarā dhuup dikhāo yaaro

jañg aḳhlāq-o-mohabbat se bhī ho saktī hai

apne dushman pe na talvār uThāo yaaro

jis ko har qaum tahzīb gavārā kar le

aisā dastūr koī sāmne laao yaaro

intihā nuur āñkhoñ meñ na zulmat bhar de

raushnī had se ziyāda na baḌhāo yaaro

merā maqsad hai mulāqāt ġharaz kuchh bhī nahīñ

mujh ko utre hue chehre na dikhāo yaaro

manzileñ zer-e-qadam jald simaT ā.eñgī

jazba-e-'shauq' zarā aur baḌhāo yaaro

Top Urdushayar.com