Suroor Barabankvi

tu urus-e-sham-e-KHayal bhi to jamal-e-ru-e-e-sahar bhi hai

Suroor Barabankvi

Barabanki, Uttar pradesh, India

1927-1980
tū urūs-e-shām-e-ḳhayāl bhī to jamāl-e-rū-e-e-sahar bhī hai
ye zarūr hai ki ba-īñ hama mirā ehtimām-e-nazar bhī hai
ye mirā nasīb hai ham-nashīñ sar-e-rāh bhī na mile kahīñ
vahī mirā jāda-e-justajū vahī un kī rāhguzar bhī hai
na ho muzmahil mire ham-safar tujhe shāyad us kī nahīñ ḳhabar
inheñ zulmatoñ hī ke dosh par abhī kārvān-e-sahar bhī hai
hama kashmakash mirī zindagī kabhī aa ke dekh ye bebasī
tirī yaad vaj.h-e-sukūñ sahī vahī rāz-e-dīda-e-tar bhī hai
tire qurb ne jo baḌhā diye kabhī miT sake na vo fāsle
vahī paañv haiñ vahī aable vahī apnā zauq-e-safar bhī hai
ba-hazār dānish-o-āgahī mirī maslahat hai abhī yahī
maiñ 'surūr'-e-rahrav-e-shab sahī mirī dastaras meñ sahar bhī hai
Top Urdushayar.com