Suroor Barabankvi

jab talak raushni-e-fikr-o-nazar baqi hai

Suroor Barabankvi

Barabanki, Uttar pradesh, India

1927-1980
jab talak raushnī-e-fikr-o-nazar baaqī hai
tīrgī laakh ho imkān-e-sahar baaqī hai
kis ke jalvoñ kā ye āñkhoñ meñ asar baaqī hai
husn baaqī hai na ab husn-e-nazar baaqī hai
ye bhī ik mo.ajiza-e-josh-e-junūñ hai ki nahīñ
pā-shikasta huuñ magar azm-e-safar baaqī hai
ye bhī kiyā nazm-e-jahāñ hai ki azal se ab tak
bas vahī silsila-e-shām-o-sahar baaqī hai
aaj yuuñ ābla-pāyān-e-junūñ guzre haiñ
ik charāġhāñ sā sar-e-rāh-guzar baaqī hai
maiñ ḳhizāñ-dīda-o-āvāra sahī phir bhī 'surūr'
mere naġhmoñ meñ bahāroñ kā asar baaqī hai
Top Urdushayar.com