paik-e-ḳhayāl  bhī  hai  ajab  kyā  jahāñ-numā
aayā  nazar  vo  paas  jo  apne  se  duur  thā
us  māh-rū  pe  aañkh  kisī  kī  na  paḌ  sakī
jalva  thā  tuur  kā  ki  sarāsar  vo  nuur  thā
dete  na  dil  jo  tum  ko  to  kyuuñ  bantī  jaan  par
kuchh  aap  kī  ḳhatā  na  thī  apnā  qusūr  thā
zarre  kī  tarah  ḳhaak  meñ  pāmāl  ho  ga.e
vo  jin  kā  āsmāñ  pe  sar-e-pur-ġhurūr  thā