ye  farq  jiite  hī  jī  tak  gadā-o-shāh  meñ  hai
vagarna  ba.ad-e-fanā  musht-e-ḳhāk  raah  meñ  hai
nishāñ  maqām  kā  ġham  aur  na  rahnumā  koī
ġharaz  ki  saḳht  aziyyat  adam  kī  raah  meñ  hai
gadā  ne  chhoḌ  ke  duniyā  ko  naqd-e-dīñ  paayā
bhalā  ye  lutf  kahāñ  shah  ke  izz-o-jāh  meñ  hai
pasand-tab.a  nahīñ  apnī  chaar  din  kā  milāp
mazā  to  ziist  kā  ai  merī  jaañ  nibāh  meñ  hai