Bashir Farooqi

logo hum chhan chuke ja ke samundar sare

Bashir Farooqi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1939-2019
logo ham chhān chuke jā ke samundar saare
us ne muTThī meñ chhupā rakkhe haiñ gauhar saare
zaḳhm-e-dil jaag uThe phir vahī din yaar aa.e
phir tasavvur pe ubhar aa.e vo manzar saare
tishnagī merī ajab ret kā manzar niklī
mere hoñToñ pe hue ḳhushk samundar saare
us ko ġhamgīn jo paayā to maiñ kuchh kah na sakā
bujh ga.e mere dahakte hue tevar saare
āgahī karb vafā sabr tamannā ehsās
mere hī siine meñ utre haiñ ye ḳhanjar saare
dosto tum ne jo pheñke the mire āñgan meñ
lag ga.e ghar kī fasīloñ meñ vo patthar saare
ḳhūn-e-dil aur nahīñ rañg-e-hinā aur nahīñ
ek hī rañg meñ haiñ shahr ke manzar saare
qatl-gah meñ ye charāġhāñ hai mire dam se 'bashīr'
mujh ko dekhā to chamakne lage ḳhanjar saare
Top Urdushayar.com