Bashir Farooqi

ab ke junun mein lazzat-e-azar bhi nahin

Bashir Farooqi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1939-2019
ab ke junūñ meñ lazzat-e-āzār bhī nahīñ
zaḳhm-e-jigar meñ surḳhi-e-ruḳhsār bhī nahīñ
ham tere paas aa ke pareshān haiñ bahut
ham tujh se duur rahne ko tayyār bhī nahīñ
ye hukm hai ki sauñp do nazm-e-chaman unheñ
nazm-e-chaman se jin ko sarokār bhī nahīñ
toḌā hai us ne dil ko mire kitne husn se
āvāz bhī nahīñ koī jhankār bhī nahīñ
ham pārsā haiñ phir bhī tire dast-e-nāz se
mil jaa.e koī jaam to inkār bhī nahīñ
Thahre agar to duur nikal jā.egī hayāt
chalte raho ki fursat-e-dīdār bhī nahīñ
jashn-e-bahār dekhne vāloñ ko dekhiye
dāman meñ jin ke phuul to kyā ḳhaar bhī nahīñ
Top Urdushayar.com