lab-e-mantiq  rahe  koī  na  chashm-e-lan-tarānī  ho
zamīñ  phir  se  murattab  ho  falak  par  nazar-e-sānī  ho
abhī  tak  ham  ne  jo  māñgā  tire  shāyāñ  nahīñ  māñgā
sikhā  de  ham  ko  kun  kahnā  jo  terī  mehrbānī  ho
ḳhas-e-be-mājrā  haiñ  ḳhaar  be-bāzār  haiñ  to  kyā
numū-shahkār  ham  bhī  haiñ  hamārī  bhī  kisānī  ho
mileñge  dhuup  kī  maarī  chaTānoñ  meñ  bhī  ḳhvāb-e-nam
koī  ḳhushkī  nahīñ  aisī  jahāñ  tah  meñ  na  paanī  ho
lahū  ko  bhī  tanaffus  hī  ravāñ  rakhtā  hai  ḳhaliyoñ  meñ
bahe  sahrā  meñ  bhī  kashtī  agar  zor-e-duḳhānī  ho
baḌā  surḳhāb  par  niklā  badan  kā  ḳhūñ-chakāñ  rahnā
shafaq  sayyāh  kī  lāzim  thī  rañgat  arġhavānī  ho
taḳhātub  ke  liye  'tafzīl'  abjad  mere  hāzir  haiñ
koī  naqqara-ḳhāna  ho  ki  bait  be-zabānī  ho