avval  vahī  sairāb  thā  saanī  bhī  vahī  thā
patthar  se  guzartā  huā  paanī  bhī  vahī  thā
nau-ḳhez  duāoñ  kā  shajar-kār  bhī  niklā
bosīda  tamannāoñ  kā  baanī  bhī  vahī  thā
āñkhoñ  pe  jo  rakhtā  rahā  rūmāl-e-tasallī
nam-dīda-gar-e-naql-e-makānī  bhī  vahī  thā
āyāt-e-irāda  pe  vahī  nuur  kī  uñglī
aurāq-siyah-tar  kā  giyānī  bhī  vahī  thā
kaukab  sā  damaktā  thā  dhueñ  meñ  gul-e-shīsha
arzañg  bichhā.e  hue  maanī  bhī  vahī  thā
'tafzīl'  thā  ik  āmad-o-ilhām  kā  shā.ir
baaqī  vahī  urdu  meñ  hai  faanī  bhī  vahī  thā