ḳhāmosh  bhī  rah  jaa.e  aur  iz.hār  bhī  kar  de
tasvīr  vo  hāziq  hai  jo  bīmār  bhī  kar  de
ham  se  to  na  hogī  kabhī  is  tarah  mohabbat
jo  had  se  guzarne  pe  gunahgār  bhī  kar  de
is  baar  bhī  tāvīl-e-shab-o-roz  na.ī  hai
mumkin  hai  vo  qaa.il  mujhe  is  baar  bhī  kar  de
aflāk-talāshī  meñ  huuñ  us  burj  kī  ḳhātir
jo  mere  ḳhazāne  ko  falak  paar  bhī  kar  de
āhañg-e-tasavvur  se  jo  larzish  hai  ragoñ  meñ
us  ko  mire  ḳhāme  kā  sarokār  bhī  kar  de
vo  bait  jo  masdūd  meñ  rauzan  kā  sabab  haiñ
un  ko  gul-e-āveza-e-dīvār  bhī  kar  de
qirtās  pe  'tafzīl'  ravāñ  juue  kalī-rañg
shāyad  mire  lafzoñ  ko  mazedār  bhī  kar  de