milā  kisī  se  na  achchhā  lagā  suḳhan  is  baar
banā  hai  lāshoñ  ke  a.azā  se  ye  badan  is  baar
sunā  hai  tīnoñ  ruteñ  saath  saath  ā.eñgī
qamīs  Daal  ke  niklūñ  khule  baTan  is  baar
havā  kī  maut  se  Dole  na  qatl-e-āb  se  ham
tamām  chīzoñ  pe  bhārī  paḌī  thakan  is  baar
bahut  se  shahr  bahut  sī  fazā  bahut  se  log
magar  hai  sab  meñ  koī  bū  koī  saḌan  is  baar
chhupā.ūñ  ruuh  ko  kyuuñ  tan  se  tan  ko  kapḌoñ  se
utaar  kyuuñ  na  chalūñ  saare  pairahan  is  baar
ḳhalā  kī  aag  to  'tafzīl'  ne  bujhā.ī  magar
zamīñ  pe  vo  nahīñ  girtā  hai  carbon  is  baar