Rumana Rumi

maslahat-KHu kab hua hai aaina

Rumana Rumi

maslahat-ḳhū kab huā hai aa.ina
sach hī sach bas boltā hai aa.ina
aaj mere dostoñ kī ḳhair ho
be-tarah mujh par miTā hai aa.ina
ek chaukīdār hai apnā zamīr
ik nigahbāñ ban gayā hai aa.ina
āshnā sīrat kī ḳhushbū se nahīñ
husn-e-zāhir par fidā hai aa.ina
ḳhud-pasandī is qadar achchhī nahīñ
sāmne har dam dharā hai aa.ina
badlā mausam mere chehre kā magar
phuul ban kar khil gayā hai aa.ina
tum se jab tark-e-ta.alluq kar liyā
dil to dil mujh se ḳhafā hai aa.ina
mujh se sargoshī sī kar ke kaan meñ
mahv-e-hairat kar gayā hai aa.ina
kis tarah kar luuñ haqīqat meñ qubūl
ik ḳhalish sī de gayā hai ā.īna
jab bhī dekhūñ rū-ba-rū hai koī aur
jaise sāzish kar rahā hai aa.ina
baat dil kī ġhaur se suntā hai ye
rāzdāñ merā banā hai aa.ina
TuuT kar 'rūmī' vo sālim hī rahā
mujh ko TukḌe kar gayā hai aa.ina
Top Urdushayar.com