Roohi Kanjahi

to mil bhi jae to phir bhi tujhe talash karun

Roohi Kanjahi

1936
to mil bhī jaa.e to phir bhī tujhe talāsh karūñ
har ek daur meñ taḳhlīq-e-irti.āsh karūñ
maiñ faash ho hī chukā huuñ to kyā zarūrī hai?
ki apne saath tujhe bhī jahāñ meñ faash karūñ
surāġh-e-zīst mile reza reza insāñ ko
butān-e-asr ko kuchh aise paash paash karūñ
zamīñ ne qarz diyā mujh ko rizq kī sūrat
marūñ to kyuuñ na supurd us ke apnī laash karūñ
mujhe najāt mile tīra-kāriyoñ se kaash
maiñ nuur ugā.ūñ yahāñ raushnī ma.āsh karūñ
mirī baqā kā taqāzā hai jab bhī rut badle
maiñ jam.a az-sar-e-nau apnī qaash qaash karūñ
jadīd daur meñ rahte hue bhī ai 'rūhī'
hai aarzū ki na tark apnī būd-o-bāsh karūñ
Top Urdushayar.com