Roohi Kanjahi

zalim pe azab ho gaya hun

Roohi Kanjahi

1936
zālim pe azaab ho gayā huuñ
maiñ roz-e-hisāb ho gayā huuñ
har lafz mirā hai ek ghaav
zaḳhmoñ kī kitāb ho gayā huuñ
maiñ ḳhud meñ simaT ke thā samundar
phailā to habāb ho gayā huuñ
ḳhud apnī talāsh kar rahā thā
dekhā to sarāb ho gayā huuñ
yuuñ uTh gayā etibār-e-hastī
maiñ ḳhud koī ḳhvāb ho gayā huuñ
miTTī huī yuuñ ḳharāb merī
sahrā kā javāb ho gayā huuñ
Top Urdushayar.com