ai  ḳhudā  jism  meñ  tū  ne  ye  banāyā  kyā  hai
dil  to  ye  hai  hī  nahīñ  phir  ye  dhaḌaktā  kyā  hai
ishq  kī  shāḳh  pe  aa.egā  chalā  jaatā  hai
dil  ke  panchhī  kā  bhalā  Thor-Thikāna  kyā  hai
har  nasha  kar  ke  yahāñ  dekh  chukā  huuñ  yāroñ
bhuul  jaane  kā  use  aur  tarīqa  kyā  hai
terī  yādoñ  meñ  bahā.e  haiñ  jo  aañsū  itne
aañkh  bhī  pūchh  rahī  hai  ki  bachāyā  kyā  hai
yuuñ  mulāqāt  kā  ye  daur  banā.e  rakhiye
maut  kab  saath  nibhā  jaa.e  bharosa  kyā  hai
hijr  ke  ba.ad  ye  socho  ki  kahāñ  jāoge
ham  to  mar  jā.eñge  vaise  bhī  hamārā  kyā  hai
'mīt'  ḳhvāboñ  kī  ḳhumārī  se  nikalne  ke  baad
us  se  ik  baar  to  pūchho  ki  batātā  kyā  hai