qismat  apnī  aisī  kachchī  niklī  hai
har  mahfil  se  bas  tanhā.ī  niklī  hai
ḳhat  us  ke  jab  aaj  jalāne  baiThā  to
māchis  kī  tiilī  bhī  siilī  niklī  hai
shor-sharāba  rahtā  thā  jis  āñgan  meñ
aaj  vahāñ  se  bas  ḳhāmoshī  niklī  hai
bhūkā  bachcha  dekhā  to  in  āñkhoñ  se
aañsū  kī  phir  ek  nadī  sī  niklī  hai
apnī  sūrat  kī  parteñ  jab  kholīñ  to
apnī  sūrat  us  ke  jaisī  niklī  hai
maiñ  ne  bhī  dekhā  hai  terī  rahmat  ko
tūfānoñ  se  bach  ke  kashtī  niklī  hai
dil  TuuTā  to  'mīt'  samajh  meñ  ye  aayā
ishq  vafā  sab  ek  pahelī  niklī  hai