ġharaz  paḌne  pe  us  se  māñgtā  hai
ḳhudā  hotā  hai  ya.anī  māntā  hai
ka.ī  din  se  sharārat  hī  nahīñ  kī
mire  andar  kā  bachcha  lāpata  hai
bure  māhaul  se  guzrā  hai  ye  dil
mohabbat  lafz  se  hī  kāñptā  hai
ye  kachchī  umr  ke  āshiq  ko  dekho
zarā  rūThe  kalā.ī  kāTtā  hai
abhī  manzil  dikhā.ī  bhī  nahīñ  dī
abhī  se  hī  tū  itnā  hāñptā  hai
gunāhoñ  kī  sazā  sab  dūsroñ  ko
garebāñ  kaun  apnā  jhāñktā  hai
ajab  kārīgarī  hai  'mīt'  us  kī
badan  ko  ruuh  pe  vo  Tāñktā  hai