yuuñ  be-dam  haiñ  sāñseñ  ghuTan  kuchh  nahīñ  hai
kisī  dard  kī  ab  chubhan  kuchh  nahīñ  hai
khilaune  haiñ  miTTī  ke  ham  sab  yahāñ  par
haqīqat  yahī  hai  badan  kuchh  nahīñ  hai
ye  maanā  ki  paikar  bahut  kuchh  hai  lekin
binā  ruuh  ye  pairahan  kuchh  nahīñ  hai
lagī  aag  ḳhvāboñ  meñ  itnī  ki  samjho
ye  āñkhoñ  kī  mere  jalan  kuchh  nahīñ  hai
maiñ  ḳhud  mustaqil  huuñ  safar  meñ  so  mujh  ko
ye  lagne  lagā  hai  thakan  kuchh  nahīñ  hai
binā  saath  tere  sabhī  kuchh  hai  suunā
ye  duniyā  jahāñ  anjuman  kuchh  nahīñ  hai
numā.ish  hai  sab  'mīt'  mere  ġhamoñ  kī
ġhazal  kuchh  nahīñ  hai  suḳhan  kuchh  nahīñ  hai