ye  lagtā  hai  ab  bhī  kahīñ  kuchh  bachā  hai
tumhārā  diyā  zaḳhm  ab  tak  harā  hai
kaho  kaun  sī  shakl  dekhoge  ab  tum
ye  chehra  to  ik  āvran  se  Dhakā  hai
lagā  hai  zamāna  ibādat  meñ  jis  kī
vo  rahtā  kahāñ  hai  tumheñ  kuchh  patā  hai
gunāhoñ  se  tauba  karo  vaqt  rahte
vagarna  to  dozaḳh  kā  rasta  khulā  hai
mohabbat  mohabbat  mohabbat  mohabbat
amaañ  yaar  chhoḌo  ye  halkā  nasha  hai
bhalā.ī  karo  to  mile  hai  burā.ī
ye  qissa  mirī  zindagī  se  juḌā  hai
ġhalat-fahmiyāñ  'mīt'  rakkho  na  dil  meñ
vahī  sach  nahīñ  jitnā  tum  ne  sunā  hai