Ahsan Marahravi

ada mein bankpan andaz mein ek aan paida kar

Ahsan Marahravi

Etah, Uttar pradesh, India

1876-1940
adā meñ bāñkpan andāz meñ ik aan paidā kar
tujhe ma.ashūq banñā hai to puurī shaan paidā kar
kahāñ kā vasl kaisī aarzū ai dil vo kahte haiñ
na maiñ hasrat karūñ puurī na tū armān paidā kar
hamārā intiḳhāb achchhā nahīñ ai dil to phir tū hī
ḳhayāl-e-yār se behtar koī mehmān paidā kar
mujhe hai rashk us ko bhī raqīb apnā samajhtā huuñ
na dekhe jo tujhe aisā koī darbān paidā kar
ḳhayāl-e-zabt-e-ulfat hai to 'ahsan' phir ḳhatar kaisā
na dhaḌke dil bhī siine meñ vo itmīnān paidā kar
Top Urdushayar.com