adā  meñ  bāñkpan  andāz  meñ  ik  aan  paidā  kar
tujhe  ma.ashūq  banñā  hai  to  puurī  shaan  paidā  kar
kahāñ  kā  vasl  kaisī  aarzū  ai  dil  vo  kahte  haiñ
na  maiñ  hasrat  karūñ  puurī  na  tū  armān  paidā  kar
hamārā  intiḳhāb  achchhā  nahīñ  ai  dil  to  phir  tū  hī
ḳhayāl-e-yār  se  behtar  koī  mehmān  paidā  kar
mujhe  hai  rashk  us  ko  bhī  raqīb  apnā  samajhtā  huuñ
na  dekhe  jo  tujhe  aisā  koī  darbān  paidā  kar
ḳhayāl-e-zabt-e-ulfat  hai  to  'ahsan'  phir  ḳhatar  kaisā
na  dhaḌke  dil  bhī  siine  meñ  vo  itmīnān  paidā  kar