bāham  jo  husn  o  ishq  meñ  yārāna  ho  gayā
koī  parī  banā  koī  dīvāna  ho  gayā
itnī  sī  baat  par  ki  huī  sham.a  be-hijāb
tayyār  jaan  dene  ko  parvāna  ho  gayā
tañg  aa  gayā  huuñ  vusat-e-mafhūm-e-ishq  se
niklā  jo  harf  muñh  se  vo  afsāna  ho  gayā
har  dil  meñ  yaad  ban  ke  chhupe  haiñ  butān-e-ishq
allāh  terā  ghar  bhī  sanam-ḳhāna  ho  gayā
fāriġh  takallufāt  se  haiñ  rind-e-be-riyā
chullū  hī  un  ke  vāste  paimāna  ho  gayā
tafsīl  apne  jaur-o-sitam  kī  na  pūchhiye
kyā  kyā  na  aap  ne  kiyā  kyā  kyā  na  ho  gayā
dekhī  hai  jab  se  aañkh  kisī  kī  phirī  huī
aalam  mirī  nigāh  meñ  begāna  ho  gayā
ḳhush  huuñ  ki  ho  rahā  hai  ye  irshād  le  ke  dil
'ahsan'  qubūl  terā  ye  nazrāna  ho  gayā