ik  nazar  meñ  dard  kho  denā  dil-e-bīmār  kā
ye  to  adnā  sā  karishma  hai  nigāh-e-yār  kā
ġhair  mumkin  hai  ki  ho  pāmāl  koī  hashr  meñ
ho  na  jab  tak  kuchh  ishāra  aap  kī  raftār  kā
hazrat-e-ādam  se  tā  iiñ  dam  hue  sab  ishq  dost
hai  azal  se  daur  daura  husn  kī  sarkār  kā
ham  jo  mar  kar  jī  uThe  is  par  ta.ajjub  kyā  ki  hai
vo  karāmat  chaal  kī  ye  mojaza  guftār  kā
aap  ke  ġhamze  uThā.ūñ  ġhair  ke  taane  sunūñ
banda  parvar  maiñ  ne  chhoḌā  ishq  bhī  sarkār  kā
ābloñ  ko  sar  uThāne  kī  zarā  mohlat  nahīñ
hai  karam  sahrā-navardī  meñ  ye  nok-e-ḳhār  kā
is  se  baḌh  kar  aap  'ahsan'  chāhte  haiñ  aur  kyā
dostoñ  kī  daad  hai  goyā  sila  ash.ār  kā