qāsid na.ī adā se adā-e-payām ho
matlab ye hai ki baat na ho aur kalām ho
baaqī hai shauq raah meñ kyūñkar qayām ho
haath aa.eñ un ke paañv to manzil tamām ho
kyā ḳhush ho dil ki hai vo jafā-jū zamīñ se duur
tum kaise āsmān ke qā.em-maqām ho
farmāñ-ravā-e-husn ko hotā nahīñ faroġh
jab tak na ishq us kā mudār-ul-mahām ho
'ahsan' vo sun ke shikva-e-tash.hīr kah ga.e
ham jānte haiñ tum ko baḌe nek-nām ho