qāsid  na.ī  adā  se  adā-e-payām  ho
matlab  ye  hai  ki  baat  na  ho  aur  kalām  ho
baaqī  hai  shauq  raah  meñ  kyūñkar  qayām  ho
haath  aa.eñ  un  ke  paañv  to  manzil  tamām  ho
kyā  ḳhush  ho  dil  ki  hai  vo  jafā-jū  zamīñ  se  duur
tum  kaise  āsmān  ke  qā.em-maqām  ho
farmāñ-ravā-e-husn  ko  hotā  nahīñ  faroġh
jab  tak  na  ishq  us  kā  mudār-ul-mahām  ho
'ahsan'  vo  sun  ke  shikva-e-tash.hīr  kah  ga.e
ham  jānte  haiñ  tum  ko  baḌe  nek-nām  ho