tumhārī  lan-tarānī  ke  karishme  dekhe-bhāle  haiñ
chalo  ab  sāmne  aa  jaao  ham  bhī  aañkh  vaale  haiñ
na  kyūñkar  rashk-e-dushman  se  ḳhalish  ho  ḳhār-e-hasrat  kī
ye  vo  kāñTā  hai  jis  se  paañv  meñ  kyā  dil  meñ  chhāle  haiñ
ye  sadma  jiite  jī  dil  se  hamāre  jā  nahīñ  saktā
unheñ  vo  bhūle  baiThe  haiñ  jo  un  par  marne  vaale  haiñ
hamārī  zindagī  se  tañg  hotā  hai  abas  koī
ġham-e-ulfat  salāmat  hai  to  kai  din  jiine  vaale  haiñ
'amīr'  o  'dāġh'  tak  ye  imtiyāz  o  farq  thā  'ahsan'
kahāñ  ab  lucknow  vaale  kahāñ  ab  dillī  vaale  haiñ