mujhe  ḳhabar  nahīñ  ġham  kyā  hai  aur  ḳhushī  kyā  hai
ye  zindagī  kī  hai  sūrat  to  zindagī  kyā  hai
fuġhāñ  to  ishq  kī  ik  mashq-e-ibtidā.ī  hai
abhī  to  aur  baḌhegī  ye  lai  abhī  kyā  hai
tamām  umr  isī  rañj  meñ  tamām  huī
kabhī  ye  tum  ne  na  pūchā  tirī  ḳhushī  kyā  hai
tum  apne  ho  to  nahīñ  ġham  kisī  muḳhālif  kā
zamāna  kyā  hai  falak  kyā  hai  mudda.ī  kyā  hai
salāh-e-kār  banāyā  hai  maslahat  se  use
vagarna  nāseh-e-nādāñ  kī  dostī  kyā  hai
diloñ  ko  khīñch  rahī  hai  kisī  kī  mast  nigāh
ye  dilkashī  hai  to  phir  uzr-e-mai-kashī  kyā  hai
mazāq  ishq  ko  samjhoge  yuuñ  na  tum  nāseh
lagā  ke  dil  kahīñ  dekho  ye  dil-lagī  kyā  hai
vo  raat  din  nahīñ  milte  to  zid  na  kar  'ahsan'
kabhī  kabhī  kī  mulāqāt  bhī  burī  kyā  hai